Thursday, April 19, 2012

Jo Beet Gaya Hai Woh Guzar KyuN Nahi Jaataa


Be-naam sa yeh dard Thehar kyuN nahi jaataa
Jo beet gaya hai woh guzar kyuN nahi jaataa
Sab kuch to hai kya dhoondti rahti hain nigaahaiN
Kya baat hai maiN waqt pe ghar kyuN nahi jaataa
Woh ek hi chehraa to nahi saare jahaaN meiN
Jo door hai woh dil se utar kyuN nahi jaataa
Mein apni hi uljhi huii raahoN ka tamaashaa
Jaate haiN jidhar sab maiN udhar kyuN nahi jaataa
Woh naam jo barsoN se samaayaa hai zehen meN
Woh khaab agar hai to bikhar kyuN nahi jaataa

_________by Nida  Fazli

A Ghazal by Nida Fazli


Muhabbat mein wafaadaari se bachiye
JahaaN tak ho adaakaari se bachiye
Har ek soorat bhali lagti hai kuchh din
Lahoo ki sho’bdaa-kaari se bachiye
Sharaafat, aadmiyat, dard – mandi !!
BaRe shahroN mein bimaari se bachiye
Zaroori kya har ek mehfil mein aana
Takalluf ki  rawaadaari se bachiye
Bina pairoN ke sar chalte nahi hain
BuzurgoN ki samajhdaari se bachiye

_________by Nida Fazli

Saturday, April 7, 2012

Dunya Ko To Halat Say Ummeed Badi Thi

Dunya Ko To Halat Say Ummeed Badi Thi
Par Chaahne Waalon Ko Judaai Ki Padi Thi

Kis Jaan-e-Gulistaan Se Yeh Milne Ki Ghadi Thi
Khushbu Mein Nahaai Hui Ik Shaam Khadi Thi

Mein Uss Se Mili Thi Ke Khud Apne Se Mili Thi
Woh Jaisay Meri Zaat Ki Gum-Gashta Kadi Thi

Yo0n Daikhna Uss Ko Ke Koi Aur Na Dekhe
In’aam Toh Achha Tha Magar Shart Kadi Thi

Kam-maaya To Hum The Magar Ehsaas Nahi Tha
Aamad Teri Iss Ghar Ke Muqaddar Se Badi Thi

Main Dhaal Liye Simt-e-Adu Daikh Rahi Thi
Palti To Meri Pusht Pe Talvaar Gadi Thi

Monday, April 2, 2012

Aik aansu meri palkon pe numanyan hi sahi

Aik aansu meri palkon pe numanyan hi sahi
Laog kehtay hain charaghaan to charaghaan hi sahi

Hum ne har daor mein raaton se baghawat ki thi
Aaj pabandi-e-aaien shabistaan hi sahi

Meri taqdeer mein phoolon ka tassawur bhe mahal
Koi gulshan bakaf-o-khuld badamaan hi sahi

Mujh pe jo beet gai beet gai beet gai
Meri hasrat teray chehray se numayan hi sahi

Mar.ghaton per nai bunyaad-e-makan rakhain gai
Kar-e-tehzeeb Raqeeb-e-ser-o-samaan hi sahi

Kitni Aankhain huien be nar tujhay kiya maloom
Kar-e-nazarah teri bazm mein asaan hi sahi

Jabr Ke Zulm Laye huway san.natay mein
Koi shorsh koi halchal koi toofaan hi sahi

Yeah bhe kya kam hai ke hum chonktay hain jagtay hain
Zindegi silsila-e-khuwaab perishaan hi sahi

Bhairriyon ko nah yeah tareekh khula choray gi
Bhairriye asmat-e-aadam ke nigehbaan hi sahi

Zulm har rang mein pehchaan liya jaye ga
Tera daman hi sahi mera girebaan hi sahi

Kabhi Hum Un se Kabhi Woh Hum Se Rooth Jate Hain


Kabhi Hum Un se Kabhi Woh Hum Se Rooth Jate Hain
Hawa Kuch Chalti Hai Aisi Ke Kinare Choth Jate Hain


Samandar Ki Gehrayi Se Bhi Hote Hain Jo Gehray
Pal Bhar Main Woh Rishtay Kyun Toot Jate Hain


Jin Pe Hota Hai Bharosa Apne Aap se Badh Kar
Woh Log Dil Ki Dunya Kyun Kar Loot Jate Hain


Teer Chalta Hai Jab Nafrat Ka Un Ki Aakhon Se
Dil Kaanch Ke Hote Hain Aksar Toot Jate Hain


Bada Naaz Tha Mujhe Ko Toh UnKi Wafaon Par
Zara Zara Si Baat Par Jo Aksar Rooth Jate Hain